aise bimar ki dawa kya hai jo batata nahin hua kya hai kaun sunta hai is zamane mein kis se kahiye ki iltija kya hai lab-e-bimar thartharaate hain jhuk ke suniye zara dua kya hai mujh ko jo dekhta hai rota hai koi kya jaane majra kya hai hazrat-e-khizr bhi bata na sake zindagani ka muddaa kya hai dard par dusron ke hans dena ye bhi achchha hai to bura kya hai fakhr-e-khatun-e-hind hai 'ismat' hum se puchhe koi wafa kya hai