husn-e-azal ne pahle hamein jalwa-gar kiya duniya-e-hast-o-bud se phir be-khabar kiya us be-niyaz-e-ishq ne aashufta-sar kiya dair-o-haram sajae pareshan-nazar kiya aasudgan-e-khak ko phir dar-ba-dar kiya zauq-e-numud-e-subh mein barg-o-shajar kiya ta-umr apni zat ke andar basar kiya is kaenat-e-shauq ko hum ne bhi sar kiya dam bhar ruke the saya-e-mizhgan-e-yar mein us khanuman-kharab ne bhi dil mein ghar kiya hum ko shuur-e-sabr-o-raza se nawaz kar gham-ashna-e-lazzat-e-dard-e-jigar kiya ahl-e-junun ne dasht-nawardi ki rah mein aawargan-e-ishq ko bhi ham-safar kiya tujh ko hi hum se wasl ki mohlat nahin mili hum ne to intizar tera umr bhar kiya partaw hai teri zat ka har lamha-e-wajud hum ne ye faisla teri aayat par kiya lo bargah-e-dard mein rakh kar mata-e-dil 'rifat' ne is jahan se aage safar kiya