aise ghurbat mein baitha hun jaise bada bar-e-sar rakh diya ek sehn ek dar ek diwar ka nam ghar rakh diya is hunar par jo tum is qadar nukta-chin ho to main kya kahun mere malik ne kyun mujh mein sachchaiyon ka hunar rakh diya main ne shakhen tarashin bulandi-e-nashw-o-numa ke liye tum ko tesha mila tum ne to kat kar hi shajar rakh diya tez-tar baad-e-khud-sar chali to yahan kaun si lu ghati main ne aur ek lahu se jala kar diya baam par rakh diya mera hissa tha kya dukh shanasai ke zakhm ruswai ke waqt ke ru-ba-ru main ne sara hisab-e-safar rakh diya kitne nadar dil tum ne thukra diye ye na socha kabhi is mohabbat ne to pa-e-aflas par taj-e-zar rakh diya main ne to apna khud hi likha faisla log aise bhi the munsifi ke liye pa-e-na-munsifi par bhi sar rakh diya