ajab junun-e-masafat mein ghar se nikla tha

ajab junun-e-masafat mein ghar se nikla tha
khabar nahin hai ki suraj kidhar se nikla tha

ye kaun phir se unhin raston mein chhod gaya
abhi abhi to azab-e-safar se nikla tha

ye tir dil mein magar be-sabab nahin utra
koi to harf lab-e-chaaragar se nikla tha

ye ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
yahi dhuan mere diwar-o-dar se nikla tha

main raat tut ke roya to chain se soya
ki dil ka zahr meri chashm-e-tar se nikla tha

ye ab jo sar hain khamida kulah ki khatir
ye aib bhi to hum ahl-e-hunar se nikla tha

wo qais ab jise majnun pukarte hain 'faraaz'
teri tarah koi diwana ghar se nikla tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close