ajib shai hai ki surat badalti jati hai

ajib shai hai ki surat badalti jati hai
ye sham jaise maqabir mein dhalti jati hai

chahaar samt se tesha-zani hawa ki hai
ye shakh-e-sabz ki har aan phalti jati hai

pahunch sakunga fasil-e-buland tak kaise
ki mere hath se rassi phisalti jati hai

kahin se aati hi jati hai nind aankhon mein
kisi ke aane ki saat nikalti jati hai

nigah ko zaeqa-e-khak milne wala hai
ki sahilon ki taraf naw chalti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close