is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen apni jaan de kar wafa karne ka hum wada karen aao shabnam ki tarah ban jaen taqdir-e-chaman kyun kali ban kar khilen aur khil ke murjhaya karen gulshan-e-hasti mein hum sawan ke baadal ki tarah jhum kar uttha karen aur tut kar barsa karen khaka-e-ulfat mein khun bharna tha hum ne bhar diya log hum ko ba-wafa ya be-wafa samjha karen apni aankhon ka samundar bah ke to khamosh hai dil ke andar ki sulagti aag ko hum kya karen ek hi chullu hai kafi ahl-e-ghairat ke liye dub marne ke liye kyun khwahish-e-dariya karen kho ke kya paya hai hum ne pa ke kya kuchh kho diya aaine mein waqt ke saqi ye andaza karen