aks kuchh na badlega aainon ko dhone se

aks kuchh na badlega aainon ko dhone se
aazari nahin aati pattharon pe rone se

masala na suljhega pyas bujh na paegi
be-hisi ke saghar mein aap ko dubone se

tod do haden sari ye bhi tajraba kar lo
zat aur simtegi be-hijab hone se

lab pe zom-e-mai-khwari aur qadam bahakte hain
sirf kasa-e-mai mein ungliyan dubone se

har sadaf ke sine mein gir raha hai ek moti
dard-o-gham ke maron ki kashtiyan dubone se

zakhm roz ek taza de diya karo warna
be-dili si rahti hai dard ke na hone se

har lahu fughan dega har diya dhuan dega
dagh mit nahin sakte damanon ko dhone se

kaun si wo aatish thi mere khun mein 'salim'
hath jal gae us ke ungliyan dubone se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close