hain shaKH shaKH pareshan tamam ghar mere

hain shakh shakh pareshan tamam ghar mere
kate pade hain badi dur tak shajar mere

charagh in pe jale the bahut hawa ke khilaf
bujhe bujhe hain jabhi aaj baam-o-dar mere

hazaron sal ki tarikh likkhi jaegi
zamin ke batn se ubhrenge jab khandar mere

ye dekhna hai ki ab haar manta hai kaun
udhar hai wusat-e-imkan idhar hain par mere

main apni zat ki tabir ki talash mein tha
to mere khwab chale ban ke ham-safar mere

suragh-e-mausam-e-gul ke amin ki surat
khile hue hain khizan mein bhi zakhm-e-sar mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close