allah-re faiz ek jahan mustafid hai

allah-re faiz ek jahan mustafid hai
har mast mere pir-e-mughan ka murid hai

waiz abas ye zikr-e-azab-e-shadid hai
ek tauba qufl-e-rahmat-e-haq ki kalid hai

wahshat ne hum ko jama-e-khaki pahna diya
ai aql ab ye kahe ki qat-o-burid hai

ai rah-rawan-e-jada-e-ulfat badhe chalo
ye kis ne kah diya hai ki manzil baid hai

kyunkar na qurb-e-haq ki taraf dil mera kijiye
gardan asir-e-halqa-e-habl-ul-warid hai

ab jam-e-jam ki mujh ko zarurat nahin rahi
wo dil mila hai jis mein do-alam ki did hai

wallail hai ki zulf-e-moambar huzur ki
ye ru-e-pak hai ki kalam-e-majid hai

halki si ek kharash hai qasid ke halq par
ye khat jawab-e-khat hai ki khat ki rasid hai

khanjar-ba-kaf wo kahte hain ab aae samne
kis ko khayal-e-wasl hai arman-e-did hai

mujh khasta-e-dil ki id ka kya puchhna huzur
jin ke gale se aap mile un ki id hai

to dekhe aur bande pe tere azab ho
ya-rab ye teri shan-e-karam se baid hai

shishe ka mo'taqid hai iradat hai jam se
kis pir-e-mai-farosh ka 'bedam' murid hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close