shikast azmat-e-pindar le ke aae hain

shikast azmat-e-pindar le ke aae hain
hum apni ruh sar-e-dar le ke aae hain

bharosa tutta jata hai na-khudaon ka
safine ke liye patwar le ke aae hain

hum is ke baad tumhein mithi nind bhi denge
abhi to dida-e-bedar le ke aae hain

safar mein sae ki shayad kahin zarurat ho
hum apne kandhe pe diwar le ke aae hain

wo dosti to nahin doston ki fitrat hai
mere liye jo mere yar le ke aae hain

chhuri baghal mein dabae hue hain wo 'asi'
jo apne hath mein kuchh haar le ke aae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close