anwar-shuur din mein kahin raat mein kahin

'anwar-shuur' din mein kahin raat mein kahin
rahta hai khwar shahr-e-kharabaat mein kahin

aae hazar bar bulane ke baad aur
gum ho gae wo apne khayalat mein kahin

mumkin hai baada-khane gae hon janab-e-shaikh
ghar se nikal gae hain wo barsat mein kahin

hum muntazir hain aur bhulae hue hain wo
kya guftugu hui thi mulaqat mein kahin

milte hain roz bar mein hum asr-ta-isha
jate nahin wahan se in auqat mein kahin

go sakht nagawar hai ghar baithna hamein
kya jaen is kharabi-e-haalat mein kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close