kuchh aadmi samaj pe bojhal hain aaj bhi

kuchh aadmi samaj pe bojhal hain aaj bhi
rassi to jal gai hai magar bal hain aaj bhi

insaniyat ko qatl kiya jae is liye
dair o haram ki aad mein maqtal hain aaj bhi

ab bhi wahi hai rasm-o-riwayat ki bandagi
matlab ye hai ki zehn muqaffal hain aaj bhi

baaten tumhaari shaikh o barhaman khata-muaf
pahle ki tarah ghair-mudallal hain aaj bhi

'rahi' har ek samt fasad o inad ke
chhae hue fazaon mein baadal hain aaj bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close