apna har andaz aankhon ko tar-o-taza laga kitne din ke baad mujh ko aaina achchha laga sara aaraish ka saman mez par sota raha aur chehra jagmagata jagta hansta laga malgaje kapdon pe us din kis ghazab ki aab thi sare din ka kaam us din kis qadar halka laga chaal par phir se numayan tha dil-awezi ka zoam jis ko wapas aate aate kis qadar arsa laga main to apne aap ko us din bahut achchhi lagi wo jo thak kar der se aaya use kaisa laga