apna kirdar nibhaya hai samundar main ne ek qatre ko banaya hai samundar main ne apni lahron se zara kah de ki hushiyar rahen dil mein tufan chhupaya hai samundar main ne jis ko mad-mast hawaen bhi bujha na paen dip ek aisa jalaya hai samundar main ne tujh ko parwah nahin wade ki to apne na sahi pyar ka dil mein chhupaya hai samundar main ne teri duniya ko ujalon se sajaane ke liye dil charaghon sa jalaya hai samundar main ne aazmane ko faqat zarf meri aankhon ka aaina tujh ko banaya hai samundar main ne