apne andar ke andhere ko jalaya main ne kaun kahta hai ki tufan uthaya main ne tu mujhe zahr pilati hai ye tera shewa ai meri raat tujhe khun pilaya main ne is kharabe ke muqaddar mein faqat sannata apni tanhai ko ek jism banaya main ne koi takrae to is hijr-zada mausam mein raat jangal mein bahut khud ko jalaya main ne