KHuda bhi kaisa hua KHush mere qarine par

khuda bhi kaisa hua khush mere qarine par
mujhe shahid ka darja mila hai jine par

khandar ke gumbad o mehrab jag utthenge
use kaho ki wo dhire se aae zine par

lakir hai na koi rang hai na kalma hai
ye kaisa naqsh banaya hai mere sine par

abhi umid nai wusaton ki qaem hai
abhi wo laut ke aaya nahin safine par

chhaten bhi bat chukin aangan bhi bat chuke lekin
chhidi hai jang ki haq kis ka hai dafine par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close