apne dil mein aag lagani padti hai aise bhi ab raat bitani padti hai us ki baaten sun kar aise uthta hun jaise apni lash uthani padti hai wo khwabon mein hath chhuda kar jae to nindon mein aawaz lagani padti hai kya khushbu se main us ki bach paunga raste mein jo raat ki rani padti hai ab ja kar ke baat samajh mein aai hai lekin ab kamzor jawani padti hai