de ke wo sare ikhtiyar mujhe aur karta hai sharmsar mujhe zakhm tartib de raha hun main aur kuchh waqt de udhaar mujhe parsai ka zoam hai un ko kah rahe hain gunahgar mujhe fasle ye simat nahin sakte ab parayon mein kar shumar mujhe dil ke gulshan mein tum chale aao aur kar do sada-bahaar mujhe tark-e-ulfat ke baad bhi 'ashfaq' tera rahta hai intizar mujhe