apne hi dam se hai charcha kufr aur islam ka gah aabid hun khuda ka gah pujari ram ka lotte hain jis ko sun sun kar hazaron murgh-e-dil ho raha hai zikr kis ke gesuon ke dam ka chashm-e-mast-e-yar ka ham-chashm lo paida hua dekhna ab post khincha jaega baadam ka sair karta hai wo aalam ki mera paik-e-nigah lakh hai be-dast-o-pa lekin hai phir sau kaam ka sar juda tan se kiya ek hath mein jallad ne naqd-e-jaan dije kiya us ne ye kaam inam ka hain shah-e-malk-e-junun sahra hai apna takht-gah tan pe har dagh-e-junun sikka hai apne nam ka jald nam apna bata de jaise banda hun tera wasta deta hun main ai but khuda ke nam ka but-parasti ki bahut 'sayyah' ab kar yaad haq shughl-e-maula mein rahe banda wahi hai kaam ka