paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi

paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi
ashkon ki rawani tham na saki aankhon ke the arman aur sahi

aadab-e-chaman anjam to de gul se na hata titli ko saba
ulfat ki haya mahfuz rahe go tujh mein hon tufan aur sahi

ho sai-e-karam ghairon pe agar apnon pe mazaq-e-am na ho
hum rah mein hain thokar hi to de manzil ke hon shayan aur sahi

is dasht-e-wafa mein qais bhi hai aur shaikh bhi hai mushtaq-e-milan
jo wasl nahin to kya gham hai kuchh lamhe ibaran aur sahi

ek gul jo gira barnai mein bulbul ko yahi afsos raha
mashghul raha gham-khwari mein hon fasl-e-bahaaran aur sahi

andaz-e-saba se waqif hun aur rabt-e-bahar se bhi baaligh
rukh mod ke chalna jina hai khwah us ke hon payan aur sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close