apne inkar ke bar-aks barabar koi tha

apne inkar ke bar-aks barabar koi tha
dil mein ek khwab tha aur khwab ke andar koi tha

hum pasine mein sharabor the aur dur kahin
aise lagta hai kahin takht-e-hawa par koi tha

us ke baghat pe utra hua tha mausam-e-rang
qabil-e-did har ek samt se manzar koi tha

shak agar tha bhi to mitta gaya hote hote
aur ab pukhta yaqin hai ki sarasar koi tha

is dil-e-tang mein kya us ki rihaish hoti
yani andar to nahin tha mere bahar koi tha

shakl kuchh yaad hai kuchh bhul chuki hai us ki
koi din the ki mukammal mujhe azbar koi tha

daere mein kabhi rakkha hi nahin us ne qadam
aur mohabbat ke mazafat mein aksar koi tha

main use chhod ke khud hi chala aaya tha kabhi
aur ab puchhta phirta hun mera ghar koi tha

yawa-go tha 'zafar' is ahd-e-kharabi mein koi
yawa-go hi use kahte hain sukhan-war koi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close