jo aae wo hisab-e-ab-o-dana karne wale the gae wo log jo kar-e-zamana karne wale the udane ke liye kuchh kam nahin hai khak ghar mein bhi wo mausam hi nahin hain jo diwana karne wale the meri gum-gashtagi mere liye chhat ban gai warna ye duniya wale mujh ko be-thikana karne wale the na dete sare manzar aks hi thode se de dete hum aawara kahan tazin-e-khana karne wale the samundar le gaya hum se wo sari sipiyan wapas jinhen hum jamma kar ke ek khazana karne wale the 'zafar' be-khanaman apne ko khud hi kar liya tum ne ye kar-e-khair to ahl-e-zamana karne wale the