apne ka hai gunah begane ne kya kiya is dil ko kya kahun ki diwane ne kya kiya yan tak satana muj ko ki ro ro kahe tu hae yaro na tum suna ki fulane ne kya kiya parda to raaz-e-ishq se ai yar uth chuka be-sud hum se munh ke chhupane ne kya kiya aankhon ki rahbari ne kahun kya ki dil ke sath kuche ki us ke rah batane ne kya kiya kaam aai kohkan ki mashaqqat na ishq mein patthar se ju-e-shir ke lane ne kya kiya tuk dar tak apne aa mere naseh ka haal dekh main to diwana tha pe siyane ne kya kiya chahun main kis tarah ye zamane ki dosti auron se dost ho ke zamane ne kya kiya kahta tha main gale ka tere ho padunga haar dekha na gul ko sar pe chadhane ne kya kiya 'sauda' hai be-tarah ka nasha jam-e-ishq mein dekha ki us ko munh ke lagane ne kya kiya