gham ki be-panahi mein dil ne hausla paya tirgi ke jangal mein chashma-e-ziya paya aaftab ka paikar ban gaya badan apna raushni mein sae ka sehr tutta paya khul gai jo aankh apni waqt ki sada sun kar an-ginat jahanon ka dar khula hua paya har qadam pe sath apne khud ko dekhte hain hum ham-safar koi apna ab na dusra paya muddaton ke baad un se is tarah mile hain hum ajnabi koi jaise surat-ashna paya gard mein hua hai gum qafila zamane ka aaftab ko apne sae mein pada paya le udi 'nadim' aakhir zindagi ki tughyani ruh ke samundar mein jism dubta paya