apne ko talash kar raha hun

apne ko talash kar raha hun
apni hi talab se dar raha hun

tum log ho aandhiyon ki zad mein
main qaht-e-hawa se mar raha hun

khud apne hi qalb-e-khun-chakan mein
khanjar ki tarah utar raha hun

ai shahr-e-khayal ke musafir
kya main tera ham-safar raha hun

diwar pe daere hain kaise
ye kaun hai kis se dar raha hun

main shabnam-e-chashm-e-tar se ai subh
kal raat bhi tar-ba-tar raha hun

ek shakhs se talkh-kaam ho kar
har shakhs ko pyar kar raha hun

ai dajla-e-khun zara thaharna
is rah se main guzar raha hun

fariyaad ki zer-e-saya-e-gul
main zahr-e-khizan se mar raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close