apne mahaul se the qais ke rishte kya kya dasht mein aaj bhi uthte hain bagule kya kya ishq mear-e-wafa ko nahin karta nilam warna idrak ne dikhlae the raste kya kya ye alag baat ki barse nahin garje to bahut warna baadal mere sahraon pe umde kya kya aag bhadki to dar-o-baam hue rakh ke dher aur dete rahe ahbab dilase kya kya log ashiya ki tarah bik gae ashiya ke liye sar-e-bazar tamashe nazar aae kya kya lafz kis shan se takhliq hua tha lekin us ka mafhum badalte rahe nuqte kya kya ek kiran tak bhi na pahunchi mere baatin mein 'nadim' sar-e-aflak damakte rahe tare kya kya