apni dida-wari se Darti hun

apni dida-wari se darti hun
warna main kab kisi se darti hun

asl se naqal badh na jae kahin
fan-e-surat-gari se darti hun

mujh ko itna khuda ka khauf nahin
jitna main aadmi se darti hun

dosti ki to baat hi na karo
main bahut dosti se darti hun

tirgi to meri muhafiz hai
ham-nafas raushni se darti hun

jis ko insaniyat se pyar na ho
aise har aadmi se darti hun

dub jaun na main khudi mein kahin
is liye is khudi se darti hun

khud kahin dil kahin dimagh kahin
main teri bandagi se darti hun

maslahat se jo kaam lete hain
un ki kam-himmati se darti hun

le na dube tujhe ye ai 'rumi'
main teri khud-sari se darti hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close