apni hi aawargi se Dar gae

apni hi aawargi se dar gae
bas mein baithe aur apne ghar gae

sari basti raat bhar soi nahin
aasman ki samt kuchh patthar gae

sab tamasha sari duniya dekh li
us gali se ho ke apne ghar gae

bich mein jab aa gai diwar-e-jism
apne sae se bhi hum bach kar gae

aur kya loge hamara imtihan
zindagi di thi sau wo bhi kar gae

aap ne rakkha meri palkon pe hath
mera sina motiyon se bhar gae

kuchh kharida hum ne dekho kuchh nahin
hum bhi is bazar se ho kar gae

'mushaf' us ko bewafa kahte ho tum
aur jo ilzam us ke sar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close