hasin tujhse tera husn-e-talab tha

hasin tujh se tera husn-e-talab tha
main apne aap ko hasil hi kab tha

adab malhuz ta hadd-e-adab tha
main bina bhi jo na-bina-laqab tha

main apne aap se bichhda to jaana
na milna bhi tere milne ka dhab tha

tere gham ki masarrat allah allah
jo nam-dida tha wo khanda-ba-lab tha

azal se yun tujhe sab jaante hain
koi pahchanta ab hai na tab tha

har ek laghzish pe phailae tha bazu
tera gham rabarana bhi ghazab tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close