apni jaanib tere dil ke sabhi gham khinchte hain tere apne to badha dete hain hum khinchte hain hae ai zindagi ab teri masafat ke azab baith jate hain kisi sae mein dam khinchte hain wahshat-e-zulmat-o-tanhai ke lashkar hain udhar jis taraf mujh ko tere rahm-o-karam khinchte hain safha-e-hasti-e-fani pe ba-har-surat-e-shauq jo lakiren nazar aati hain wo hum khinchte hain mai se tauba bhi hai lazim teri taqlid bhi farz kya karun ab jo tere naqsh-e-qadam khinchte hain hum junun-zad hain jazbaat ke qail 'afaq' kab tere hijr mein zanjir-e-alam khinchte hain