apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahan samjha tha main be-hijabi se teri tuta nigahon ka tilism ek rida-e-nil-gun ko aasman samjha tha main karwan thak kar faza ke pech-o-kham mein rah gaya mehr o mah o mushtari ko ham-inan samjha tha main ishq ki ek jast ne tai kar diya qissa tamam is zamin o aasman ko be-karan samjha tha main kah gain raaz-e-mohabbat parda-dari-ha-e-shauq thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main thi kisi darmanda rah-rau ki sada-e-dardnak jis ko aawaz-e-rahil-e-karwan samjha tha main