apni kitab-e-umr ka anjam likh diya

apni kitab-e-umr ka anjam likh diya
pahle waraq pe main ne tera nam likh diya

main likhna chahta tha koi phul si ghazal
aur jab likha to sirf tera nam likh diya

dil ne tere siwa na koi baat ki qubul
sab kuchh ba-nam-e-gardish-e-ayyam likh diya

ruswaiyon ke mod pe tanha khada hun main
apna gunah sab ne mere nam likh diya

hum aise be-gharon ne jahan bhi kiya qayam
khat khinch ke wahin pe dar-o-baam likh diya

'masum' mujh ko is ne kiya aaina-mizaj
lekin mere nasib mein ilzam likh diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close