badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai

badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai
bhuli hui si yaad phir aai hui si hai

mat hath rakh sulagte kaleje pe ham-nashin
ye aag dekhne mein bujhai hui si hai

leta hun sans bhi to bhatakta hai tan-badan
rag rag mein ek nok samai hui si hai

be-sakhta kahe hai jo dekhe hai zakhm-e-dil
ye chot to unhin ki lagai hui si hai

muddat hui jalai gai shakh-e-ashiyan
ab tak isi tarah se jalai hui si hai

jo in ki baat hai wahi meri ghazal ki baat
lekin zara ye baat banai hui si hai

chhedi ghazal jo tum ne to aisa laga 'kalim'
khushbu kisi ki zulf ki aai hui si hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close