arsh-e-KHuda KHamosh hai tahtus-sara mein chup

arsh-e-khuda khamosh hai tahtus-sara mein chup
shor itna hai ki phail gai hai faza mein chup

us ne bhi apne honton ko paband kar liya
main ne bhi dal rakhi hai dast-e-dua mein chup

ilzam ab to tir ki manind aaenge
tum aae bhi to yun ki thi aawaz-e-pa mein chup

suraj talluqat ka dhalne pe aa gaya
mere junun mein shor hai teri wafa mein chup

pindar-e-sard-mehri-e-duniya ki khair ho
dil ne agarche kar liya shamil dua mein chup

koi wajud hi nahin lafz-e-sukun ka
apni baqa mein chup hai na apni fana mein chup

'afaq' duniya kya hai qayamat ke baad bhi
zinda rahegi hulla-e-ahl-e-rida mein chup


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close