roz dekha hai shafaq se wo pighalta sona

roz dekha hai shafaq se wo pighalta sona
roz socha hai ki tum mere ho mere ho na

main to ek kanch ke dariya mein bahi jati hun
khankhanate hue hamraaz mujhe sun lo na

main ne kanon mein pahan li hai tumhaari aawaz
ab mere waste be-kar hain chandi sona

meri khamoshi ko chupke se saja do aa kar
ek ghazal tum bhi mere nam kabhi likkho na

ruh mein git utar jate hain jaise khushbu
gungunati si koi sham mujhe bhejo na

chandni os ke qatron mein simat jaegi
tirgi subh sawere mein kahin kho do na

phir se aankhon mein koi rang saja lun 'nainan'
kab se khwabon ko yahan bhul gai thi bona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close