asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai

asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai
idhar se tegh udhar se qalam nikalta hai

firaq mein to nikalti thi jaan waise bhi
par aaj wasl mein hairat se dam nikalta hai

khada hua hai adu ka muamla aise
bayan kije to pahlu-e-dam nikalta hai

main roz jis ke taghaful ka rona rota hun
wo shakhs ghaur se dekhe to dam nikalta hai

jo dam milte hain becho mata-e-fan ko 'shuja'
ye mal in dinon waise bhi kam nikalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close