asbab-e-hast rah mein luTana paDa mujhe

asbab-e-hast rah mein lutana pada mujhe
phir khali hath dahr se jaana pada mujhe

sab log tere shahr ke mazi-parast the
mushkil se haal mein unhen lana pada mujhe

pahle banae aankh mein khwabon ke maqbare
phir hasraton ko dil mein dabana pada mujhe

mujh ko to khair khana-badoshi hi ras thi
tere liye makan banana pada mujhe

kuchh aur jab raha na zariya maash ka
kandhon pe bar-e-ishq uthana pada mujhe

duniya ye ghumti rahe parkar ki tarah
ek daera zamin pe banana pada mujhe

ek din ye ji mein aai wo aankhen hi phod dun
jin ke liye azab uthana pada mujhe

apne muamle mein hi shiddat-pasand thi
apne liye hi jaan se jaana pada mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close