wo lamha mujhko shashdar kar gaya tha

wo lamha mujh ko shashdar kar gaya tha
mere andar bhi lawa bhar gaya tha

hai donon samt virani ka aalam
isi raste se wo lashkar gaya tha

guzari thi bhanwar mein us ne lekin
wo manjhi sahilon se dar gaya tha

qalandar mutmain tha jhonpade mein
abas us ke liye mahzar gaya tha

na jaane kaisi aahat thi faza mein
wo din dhalte hi apne ghar gaya tha

abhi tak baam-o-dar hain phul jaise
mere ghar bhi wo khush-manzar gaya tha

sitare ba-adab thahre hue the
khala mein ek khush-paikar gaya tha

idhar aankhon mein meri dhul thahri
udhar shabnam se manzar bhar gaya tha

magar tishna-labi thahri muqaddar
nadi ke pas bhi 'amabar' gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close