ashk aankhon se dam-e-zabt rawan hota hai

ashk aankhon se dam-e-zabt rawan hota hai
jab koi dard haqiqat ki zaban hota hai

khun rista hai to aati hai gul-e-surkh ki yaad
zakhm dekhen to bahaaron ka guman hota hai

hum ne aslaf ke kirdar kiye hain zinda
warna tarikh ko ehsas kahan hota hai

har qadam gham ki salibon se guzarna hoga
marhala dard ka aasan kahan hota hai

ishq ehsas-o-kam-o-besh ka paband nahin
jab hawas ho to gham-e-sud-o-ziyan hota hai

arsa-e-dahr mein insan ki haqiqat malum
ek tinka jo sar-e-ab-e-rawan hota hai

sabza pamal gul afsurda chaman pazhmurda
kyun ba-in-shakl bahaaron ka guman hota hai

manzar-e-dard ne ehsas na rakkha baqi
dekh lete hain magar hosh kahan hota hai

aap ki zarra-nawazi hai jo is qabil hun
warna shair mein koi wasf kahan hota

gham jo bakhsha hai mujhe tu ne ghazal ki surat
khun pi pi ke shab-o-roz jawan hota hai

fasl-e-gul mein dil-e-wahshi ka chalan mat puchho
aise mausam mein to ye aafat-e-jaan hota hai

kaun 'anjum' ke muqabil hai sar-e-bazm-e-sukhan
munfarid aap ka andaz-e-bayan hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close