ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane

ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane
tut kar bikhren ye moti to uthae na bane

qahr hai apne liye soz-e-darun ka aalam
dekhna gar koi chahe to dikhae na bane

kis tarah hath uthaun main dua ki khatir
hath ek pal bhi to sine se hatae na bane

qissa-e-hasrat-e-dil hum se bayan kya hoga
be-rukhi un ki hai aisi ki batae na bane

zulm ko zulm samajhta hai kahan wo zalim
haal-e-dil apna sitamgar ko sunae na bane

kaun si baat thi kya tarz-e-ada thi 'anjum'
naqsh aisa hua dil par ki mitae na bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close