TuTa hua aaina jo raste mein paDa tha

tuta hua aaina jo raste mein pada tha
suraj ki tarah meri nigahon mein chubha tha

nam apna hi main sab se khada puchh raha tha
kuchh meri samajh mein nahin aaya ki ye kya tha

aaankhon ke dariche nazar aate the muqaffal
aur zehn ke kamre mein dhuan phail raha tha

jati hui baraat ne ek lamha thithak kar
thahri hui ek lash pe matam bhi kiya tha

mazi nahin marta hai yaqin aa gaya mujh ko
bita hua har pal wo liye sath khada tha

tufan ki zad mein the khayalon ke safine
main ulta samundar ki taraf bhag raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close