asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati

asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati
jahan se khun-e-insani ki arzani nahin jati

darogh-e-maslahat ke dekh kar aasar chehron par
haqiqat-ashna aankhon ki hairani nahin jati

nishan-e-khusrawi to mit gae hain lauh-e-alam se
kulah-e-khusrawi se bu-e-sultani nahin jati

andhera is qadar hai shahr par chhaya siyasat ka
kisi bhi shakhs ki ab shakl pahchani nahin jati

zamana karbala ka nam sun kar kanp uthta hai
abhi tak khun-e-shabbiri ki jaulani nahin jati

fuzun-tar aur hote ja rahe hain chaak daman ke
rafu-gar se hamari chaak-damani nahin jati

ye mana raushni ko pi gai zulmat jihaalat ki
magar is zarra-e-khaki ki tabani nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close