ham-kalami mein dar-o-diwar se

ham-kalami mein dar-o-diwar se
kitne jazbe rah gae izhaar se

dhup badhte hi juda ho jaega
saya-e-diwar bhi diwar se

hijr ka lamha mukammal ho gaya
raushni jab kat gai minar se

tut kar bikhre khud apne sog mein
dil laga kar dard ke rukhsar se

nim-wa galiyan chura kar lai hain
kaisa sapna dida-e-bedar se

kitne hi mayus lamhon ke bhanwar
hum ne nape zehn ke parkar se

umr bhar 'tariq' ulajhte hi rahe
jism ki girti hui diwar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close