awwalin chand ne kya baat sujhai mujh ko yaad aai teri angusht-e-hinai mujh ko sar-e-aiwan-e-tarab naghma-sara tha koi raat bhar us ne teri yaad dilai mujh ko dekhte dekhte taron ka safar khatm hua so gaya chand magar nind na aai mujh ko inhi aankhon ne dikhae kai bharpur jamal inhin aankhon ne shab-e-hijr dikhai mujh ko sae ki tarah mere sath rahe ranj o alam gardish-e-waqt kahin ras na aai mujh ko dhup idhar dhalti thi dil dubta jata tha idhar aaj tak yaad hai wo sham-e-judai mujh ko shahr-e-lahore teri raunaqen daim aabaad teri galiyon ki hawa khinch ke lai mujh ko