KHugar-e-jaur pe thoDi si jafa aur sahi

khugar-e-jaur pe thodi si jafa aur sahi
is qadar zulm pe mauquf hai kya aur sahi

khauf ghammaz adalat ka khatar dar ka dar
hain jahan itne wahan khauf-e-khuda aur sahi

ahd-e-awwal ko bhi achchha hai jo pura kar do
tum wafadar ho thodi si wafa aur sahi

jis ne hangama adalat ka teri dekha hai
us gunahgar ko ek roz-e-jaza aur sahi

kishwar-e-kufr mein kabe ko bhi shamil kar lo
sair-e-zulmat ko thodi si faza aur sahi

bandagi mein teri sahte hi hain lu ki lapten
chand din ke liye dozakh ki hawa aur sahi

din o dil ja hi chuka jaan bhi jati hai to jae
tarkash-e-kufr mein ek tir-e-qaza aur sahi

rabb-e-izzat ke liye bhi koi rahne do khitab
tum khudawand hi kahlao khuda aur sahi

hukm-e-hakim na sahi marg-e-mufajat se kam
malik-ul-mulk pe iman ki saza aur sahi

hum wafa-keshon ka iman bhi hai parwana-sifat
sham-e-mahfil jo wo kafir na raha aur sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close