azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala na gaya jo sar pe bar tha andesha-e-saza na gaya khamosh hum bhi nahin the huzur-e-yar magar jo kahna chahte the bas wahi kaha na gaya palat ke dekhne ki ab to aarzu bhi nahin thi aashiqi hamein jab khub, wo zamana gaya rahe musir ki utha den wo anjuman se hamein hum uthna chahte bhi the magar utha na gaya hamare nam se jab zikr-e-bewafai chala junun mein bol pade hum se bhi raha na gaya hamara qissa-e-gham bich mein wo chhod utthe unhi ki zid thi magar un hi se suna na gaya zamane bhar ne kaha 'arsh' jo, khushi se saha par ek lafz jo us ne kaha saha na gaya