ba-in gudaz ajab rang ka bayan hota koi raqib jo apne bhi darmiyan hota jhuka hua hai jo sar aaj tere qadmon par agar na waqt bigadta to aastan hota har ek rah pe gae aur ye bhulte hi gae wo ek naqsh-e-qadam tha kahan kahan hota tere nisar dil-e-ghair-mutmain pe na ja use jo ishq bhi milta to imtihan hota liya na wada-e-didar jaan kar warna phir intizar ka yara hamein kahan hota koi to rang-e-sukhan de ki log kahte hain lagi thi aag to kuchh aag ka nishan hota teri nazar ke talatum mein rah gaya warna mera bhi nam tajammul-husain-khan hota akele tum hi to is shahr mein nahin 'ali' bura hi tha jo wo tum sa hi nukta-dan hota