baad-o-baran ki nigahon mein nami achchhi lagi

baad-o-baran ki nigahon mein nami achchhi lagi
hum ko apni zindagi ki bekali achchhi lagi

qadr kab is zindagi ki zindagi mein ho saki
maut aai ru-ba-ru to zindagi achchhi lagi

badh ke jis ne tham li laghzish meri be-sakhta
aaj us masum ki ye sadgi achchhi lagi

gunj par zanjir ki ek raqs bismil ne kiya
zulm ki wahshi faza mein naghmagi achchhi lagi

barmala kuchh kah diya kuchh kahte kahte ruk gae
hum ko us ki ek kahi ek an-kahi achchhi lagi

bar tha jis ki tabiat par sada zauq-e-sukhan
aaj us ko bhi hamari shairi achchhi lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close