ba-pas-e-ehtiyat-e-arzu ye bar-ha hua nikal gaya qarib se wo haal puchhta hua hijab-e-rukh lahak utha agar bahut khafa hua jabhi to hum se pai-ba-pai qusur-e-muddaa hua shikayat-e-adm-e-tawajjohi baja sahi magar nasib-e-ahl-e-anjuman nahin hai dil dukha hua amin-e-raaz-e-gham nahin hain dar-khor-e-sitam nahin palat rahe hain aap hi pe aap ka kaha hua uthengi meri wajh se jab aap par bhi ungliyan kahenge phir to aap bhi ki waqai bura hua hujum-e-ma-siwa se bach ke manzil-e-murad tak pahunch gaya hun rahzanon se rah puchhta hua kabhi kabhi khulus-e-be-talluqi bhi chahiye nigah main ne pher li to us ka samna hua zamana-e-ubur-e-inqalab ki bhi umr hai na shakh-e-ashiyan rahi na aashiyan jala hua nahin kuchh is se mukhtalif giroh-e-bazm-e-raqs-o-mai nikal gaya jo gulsitan mein khwab dekhta hua ye kawish-e-umid-o-bim bhi hai lazzat-afrin nazar udhar jami hui naqab-e-rukh utha hua ghalat-bayaniyon ke ahd-e-nau mein 'shad' aarfi mera kamal-e-fan ye hai ki sirf majra hua