baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam

baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam
bhulta hi nahin wo ham-safari ka mausam

khetiyan chhaalon ki hoti thin lahu ugte the
kitna zarkhez tha wo dar-badari ka mausam

hirz-e-jaan thahre jo sahra mein thikana mil jae
bastiyon mein to hai aashufta-sari ka mausam

aao zakhmon se phir ek bar lipat kar ro len
warna aane ko hai ab bakhiya-gari ka mausam

roz-e-awwal se hai chhaya hua mujh par ab tak
kirchiyan hone ka shaqq-ul-bashari ka mausam

ab kabhi laut kar aaega na shayad 'ajiz'
dub kar pine ka daman ki tari ka mausam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close